Saturday, October 07, 2006

Zindagi...

zindagi ek ajeeb paheli hai.

jab duur usse hona chahte the hum,
to kareeb kisi aur ke le aati hai vo,
jab bhulana kisi ko chahe hum,
to nayi yaade kyo banati hai ye zindagi,

naye naye rang dikhati hai kyo khub saare,
ab to sirf reh gayi, raat ke kaalikh si ye zindagi
yaadein aur tanhai to hamesha saath rahengi mere,
ab to bas khud ko bhulane ki chah hai, ae zindagi.

kyo aai pehle, khub saare khwaab sajaakar,
kyo baandhi khushiyon ki ye patti aankon pe mere,
ab to kismat bhi ooper sarak gayi hai,
aur ban ke baithi lahu se sani, kafan si ye zindagi.

khoon ke aasu ab beh rahe hai meri aankho se,
jo na kabhi badal paaya, vo ab kya badal sakta hu,
tu hi saath rahi, tune bhi khub samjha mujhe zindagi,
ab to manzil mere saamne hai, mein aa raha hun, ae zindagi

2 comments:

Easwar Subramanian said...

Subaan Allah…



Parr..



Zindagi hain ajeeb paheli,

Dukh ke saath barsayegi kushion ki holi,

Aansoon na bahao,na jaane ye kinke dil ke tukde hain,

Yaadein to sirf saye hain,saath to denge parr sirf din ke ujale mein!!





Crap crap..my attempt J

Devashish said...

zindagi wakai ek ajeeb paheli hai sameer bhai !!