Nasha ‘gar hota sharaab mein, Nasha ‘gar hota sharaab mein
To naachti ye botal, Nachte shehar ke saare mehkhaane,
Lekin kambhakht nasha to hai dosti mein,
Doston ke saath banai rangeen mehfilon mein,
Raat bhar jag kar ghulaam ali ki gazalon ke saath,
Haal-e-dil bayan karna, nasha to isme hai…
Ruthe hue ko manane ke liye jaddo-jahat karna, nasha to isi mein hai,
Manane ke baad phir se jab ruth jae, to phir manana….nasha isi mein hai
Haari hui jung ko phir se jeetne ka jasba jab dil mein ho,
Saare gile-shikwe mita kar, ek hi junoon jab sar pe sawaar ho
Manzil ki ore ekjut hokar jab chalne ka josh ho,
Asli nasha to mere dost bas isi mein hai…
Aur manzil ko paane ke baad jab jaam chalakta hai,
To vo kaanch ke chanakne ki awaaz mein, jo mazaa hai,
Sachcha nasha to usi mein hai…
To bas doob jao tum bhi usi nashe mein, jiske mehkhaane ho
Doston ki mehfilen aur jaam uthe…dosti ke naam!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment