Friday, September 01, 2006

Side Effect of the 'blood test'...

This happened on the eve of our blood test, a.k.a. Marketing paper and we were probably so overwhelmed by it and such was the intensity that it brought out our inner selves and 'jagao'-fied the dormant kavis, shayars, et al !!!
'However' the exams were not over and there was an HR paper in the pipeline scheduled for the next day...
sab bolo 1..2..3.......5..6

:)

Enjoy the read...

Sameer:
zindagi ke jis mod per khada tha mein,
najane kise dhoondh raha tha mein,
vo kaha thi, ye janta nahi tha,
bas isiliye reh gaya ab mein, mein aur mein...

akele pan ka ahsas bahot hai ab,
use kho ke phir paane ki khwahish hai ab,
katon ke saath khoon ki bhi hoti hai chubhan,
katein to nikal do, lekin rago mein behta khoon nikalu kaise ab.

ek bewafa…

Easwar:
Bewafa woh nahi ye tanhaai hain kambhakt saath hi nahi chodti 

Sameer:
tumne galat samjha dost,…
bewafa vo nahi, hum hi the….

Dipika:
Havent penned it down but still…

Aaj bhi unki nazron mein raaj wohi tha
Chehra wohi tha chehre ka libaas wohi tha
Kaise unko bewafaa keh doon yaaron
Aaj bhi unke dekhne ka andaaz wohi tha

Easwar:
Bewafai ko kyon dosh dete ho?
Who to tanhai mein bhi saath chodti,
Yaadon ko saath leke chalti hain!
Gam ke saagar ko khudko dubate kyon ho?
Tham le yaadon ka sahara aur zindagi ka rukh badal le!

Sameer:
bewafaa ab koi haemin kya kahe,
kisi lafzon ki jarurat hi nahi,
jab khud ki nazaron mein gir gaye hai hum,
to jameen se nazare uthne ki himmat hi nahi…

Easwar:
Kaun keht hain aasmaan mein ched nahi ho sakta?
Tabiyat se patthar to uchalo!!
Bewafai zameen sir ankhon sahi,
Zindagi itni bhi buri nahi!

Dipika:
zindagi se hum gustakhi karenge sirf ek baar
yaar chalenge paidal, kandhe par hum sawaar

Amey:
Kaise likhte ho yaar ye sab … mai din bhar alag se baithke sochun fir bhi ek line bhi nahi likh paunga …

Dipika:
Muze tumse gila koi, tumhe muzse shikayat hai
Magar fir bhi muze teri, Tuze meri jarurat hai
Main ye ikraar karta hun, main tumse pyaar karta hun

Zindagi aa raha hun main………….

Easwar:
Yaadein sahara hain har muskil mod parr,
Log chale jaayenge unki yaadein reh jaayengi,
Saaye ki tarah zindagi ke har mod parr,
Phool murjha jaaye parr khusboo reh jaayegi!

Sameer:
bahot khub, bahot khub tumne hai farmaya dost,
english aur hindi se ab tum nikal rahe ho most,
yunhi shabdo ke fer-badal se, dil ka haal sunate raho
lekin bas, isi chakkar mein kabhi tum ho na jana deep-frost !!!

(desperation to make it rhyme :) !!! )

Easwar:
Lajaawab to tum bhi,
Shagird ho main tumhara,
Kavita likhta hoon yu hi,
Shayad koi kali mil jaaye b4 I die kuwara!!
:)

Dipika:
Zindagi saaz bane
soz na banne paaye
dil to tute magar
aawaj na hone paaye

now i dun remember the meaning of soz

Sameer:
channnnnnnnn !!!! :)

Easwar:
Madira ki talap se bhari thi kavita,
Kisi ke deedar ko tadapti hui,
Ankhon se main chalakte hue!
Rhyme nahi hua to kya but its still a kavita!

HR ke ppt mein doob jaao ab…Madhushala Madhushala

Sameer:
Dubakkkkkk

Madhushala to likhi ek Bachhan ne hi thi,
Lekin vo jamana to gujar gaya,
Lage hue hai aajkal ye baap-bete dono,
‘Kajrare-Kajrare’ sunate hue logo ko, in stereo and mono !!!

(another act of desperation !! )

Amey:
This is for Easwar …

Bhagwaan jiske saath apna naam share karta ho …
Chahane wale jiske liye itna care karte ho …
Tumhe tumhari KALI jaroor milegi mere dost…
Because u are a bachelor sought after the most …

Easwar:
Jiski smile ho full 10 mile,
Doodh jiske saamne de blushing smile,
Amy tujhe prapt ho teri cricket admirer,
Tu runs banate jaaaur aur karr de uske dil ko beqarar!

Dipika:
AAMI AAAMI :) :)

Sameer:
ye ‘cricket admirer’ ka kya hai naya silsila?
doston ko nahi bataya, kya humse hai koi gila,
kaun hai jo tumhare smile pe ho gayi hai ghayal,
hamein bhi to zara batao, hum bhi to hai tumhare kayal !!

Dipika:
The crowd was roraring with shouts
When Aami achieved an amazing feat
Couple of them said there’s no doubt
‘Aami is so sweet!

And this was the grand finale of a session that lasted around two and a half hours !!! Wish more of such 'blood tests' happen... :)

No comments: